Aur kya thi meri kismat?

Jab aane wali thi mai yahaan,

Sabke chehre the roshan jawaan.

Jaise Ganga ka pani uchalta jaye,

Meri aane ki khushi sabko sukhaye.

Umeed thi aur sapne bhi the kayi,

Ki Har muskurahat meri pehchaan ho.

Par kismat ne likhi thi kahani kuch aur,

Meri duniya mai aya ek anjaana mod.

Na khil saki ped ke upar,

Lekin socha neeche bhi jee lungi safar.

Apni khushbu se sabko lubhaungi,

Chaahe neeche hi sahi, bas muskuraungi.

Thodi si umeed chuti zaroor,

Par dil ka jazba raha mazboot.

Vasant ka pehla jhoka jo aaya,

Mujhe bhi khilne ka samay dikhaya.

Par na upar, na neeche khili,

Bas beech mein ek kali si mili.

Fir bhi maine rakha vishwas,

Socha apni pehchaan banalungi khaas.

Patjhad aaya, sabne dekha,

Neeche khile phoolon ka hua samman.

Upar ke phool bhi tareef ke haqdaar,

Aur mai? Mai rahi anjaan.

Koi tareef na, koi burai,

Bas beech mein kho gayi jaisi ek parchhai.

Sabke kadmon tale mit gayi nishani,

Aur yaadon mein bhi na rahi meri kahani.

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

For you, I would

Fear? Maybe

"I love black tea"