Kagaz aur kavi

 


Kabhi shabd sunta, kabhi jazbaat.

Kabhi chup rehta, lekin mehsoos sab hota.

Aadat si thi logon ki kahaniyaan sunne ki.

Samajhna mushkil tha,

Par phir bhi har baat dil mein utar jaati thi.

 

Jab sab paraye lagte,

Wahi ek saath hota.

Haan, sa nazuk tha

Kabhi kabhi doosron ke dard ke tale toota

Lekin kabhi kisi ke liye bura nahi socha.

 

Haa, kabhi kabhi kalam tez chalta,

Lekin har lakeer ke neeche kuch daba hota.

Kahaniyo ki jaddo se

kuch na kuch bunne ki toh adat thi

 

Kisi din kahani, kisi din kavita.

Lekin jazbaat rokne ka khyal, kabhi na aya

Haa mana kalam thi bhari kabhi

Lekin logo se usne woh bhi chupaya

Sunta sab tha, pal pal

Lekin rehta khamosh tha

 

Waqt ke saath purana hona hi tha

Kuch kone murjhaye toh kuch mite

Lekin likha jiske liye tha khas tha

Haa, woh mamuli sa kagaz tha

Par uske khamossi ka ehas tha

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

For you, I would

Fear? Maybe

"I love black tea"